Tuesday, August 25, 2009

DUKH AUR SABAR

may aksar sucha karti thi
kay yeh jo log khatay hain kay us ko bohat baray dukh ka samna karna para
tou aisa kun hota hai kay
agar 2 logon ko aik hi dukh mila ho tou
aik ko apna dukh bohat ziyada lagta hai aur usko lagta hai kay dunya khatam ho gi
jab kay dosray ko dukh tou hota hai lakin itna nahi
phir mujh pay khula kay dukh tou aik hi jisa milta hai
lakin usko humari sabar ki taqat chota yeh bara banati hai

yeh aisa hi ai jasay andira khud koi cheez nahi hai sirf
roshni ki kami ko hum nay andhira kah diya hai
isi tarhan dukh koi cheez nahi hai
sirf humari sabar ki kami aur ziyti usko dukh banati hai

5 comments:

  1. SIMPLY THE BEST, Log to copy paste wala kaam kartay hain lakin khud se kuch likhna bohat mushkil hota hay. or aap ne apni thinking se lika hay .I appreciate u. or is topic per bhe maray pas kafi lambi discussion hay. but aap ne simple words main likh dia.

    ReplyDelete
  2. ye roshni ki kami ko andhera kaun kehta hai? :)

    Yaar donon eik dusray per dependent hain.

    Also dukh ka opposit sukh hai na ke sabar to yeh roshni wali misal yahan jamti nahi hai.

    Waisay likha acha ha for a novice but for a normal person it is poor written.

    ReplyDelete
  3. yeh aisa hi ai jasay andira khud koi cheez nahi hai sirf
    roshni ki kami ko hum nay andhira kah diya hai.....Masha Allah anddukh tou aik hi jisa milta hai
    lakin usko humari sabar ki taqat chota yeh bara banati hai....Thank you because this is the answer of my thousand question from my life.
    Shukriya
    Jazak Allah Khair

    ReplyDelete