Sunday, January 27, 2013

Azmaish wala dur


Har insan ki zindagi may aik dur ata hai jab woh samhajta hai k us ki life may kuch nahi chal raha hai aur kabhi kuch sahi nahi ho ga . Asil may yeh dur us ki azmaish ka hai, is may jo sabit qadam rahtay hain wohi kamiyab hotay hain.

Manati hun k yeh k jab har taraf say rastay band milain aur lagay k akeylay hain tou bohat takleef aur depression hoti hai. Lakin yaad rakain k yeh azmish wala dur guzar jaye ga, umeed na chorain aur himat na harain koshish karaty rahain. Allah pay aur khud pay bahrosa karain.

Mushkilata k baad hi asaniyain ati hain. Yahi mushkilat wala rasta hi kamiyabhi ki taraf jata hai. Iss k liye koi short cut nahi hai. Jo short cut k chakkar may rahatay hain who kamiyab nahi hotay balkay zalil-o-khawar hotay hain.

Allah insan ko us k mukil dur may sabit qadam rahay ki himat day aur ussay kamiyab karay (Ameen)