Har insan ki zindagi may
aik dur ata hai jab woh samhajta hai k us ki life may kuch nahi chal raha hai
aur kabhi kuch sahi nahi ho ga . Asil may yeh dur us ki azmaish ka
hai, is may jo sabit qadam rahtay hain wohi kamiyab hotay hain.
Manati hun k yeh k jab har
taraf say rastay band milain aur lagay k akeylay hain tou bohat takleef aur
depression hoti hai. Lakin yaad rakain k yeh azmish wala dur guzar jaye ga,
umeed na chorain aur himat na harain koshish karaty rahain. Allah pay aur khud
pay bahrosa karain.
Mushkilata k baad hi
asaniyain ati hain. Yahi mushkilat wala rasta hi kamiyabhi ki taraf jata hai.
Iss k liye koi short cut nahi hai. Jo short cut k chakkar may rahatay hain who kamiyab
nahi hotay balkay zalil-o-khawar hotay hain.
Allah insan ko us k mukil
dur may sabit qadam rahay ki himat day aur ussay kamiyab karay (Ameen)