Kuch arsay say meray zahan may aik baat ghoom rahi thi jo may ab ap logon say share karna cahon gi.
May soch rahi thi k agar hum insani zindagi ko aik mathematical equation consider karain jiss may bohat saray variables hotay hain tou is equation ka sab say complex variable ho ga emotion.
Emotion ki wajha say insani zindagi bohat pacheda (complex) ho jati hai aur hum agar emotion ko hi apni zindagi say nikal dain tou hum inasn hi nahi rahain gay bulkay robots bun jain gay .
Is ka matlab hai k hum ko insan rahay k liye emotion ki zarrorat hai tou is say sabit ho gaya hay hum insanon ki zindagi already kafi complexed hai
Upper say hum insan apni zindagi ko mazeed complex kartay hain jab hum ziyada say ziyada negative emotions ka istamal kartay hain
Ab baat ho jaye k negative aur positive emotions kon kon say hotay hain. Negative emotions may shamil hai gusa, nafrat , badla, takabur wagara aur positive emotions hain mohabat, rahamdili ,darguzar wagara.
In hi sab ki taleem har mazhab deta hai kun k sirf yahi hai jo hamri zindagi ko easy karti hai
Hum insane itnay stupid hain k hum asan cheez ko chor k khud apnay liye mushkilat pida kartay hain aur is ki wajha yeh hai k negative emotions ka impact hamesha kafi ziyada hota hai positive say aur humain us emotion ko ignore karna bohat mushkil lagta hai lakin agar hum woh karnay may kamiyab ho jain tou hamari zindagi bohat asan ho jaye gi.
Tou aj say koshish karain k apni zindagi may positive emtion ko sahmil karnay ki aur apni zindagi ko asan banaye :)